22 December, 2024


دارالاِفتاء


Assalam wa alaikum, Masla : Zameen(Ghar) ka baare mei Saail ka Name : Qamruddin Ismail Shaikh walid ka name : Ismail Husain shaikh walida ka name : Roshan B Total bhai aur bahne 1)(Mehmooda (Bahen) 2)(Najmunnisa(Bahen) 3)(Mehrunnisa(bahen) 4)(Shabera(bahen) 5)(Nooruddin(chhota Bhai) Meri saari bahno aur bhai ki shadi ho chuki hai aur sabhi bahne aur bhai ba hayat hai sirf shabera bahen ka inteqal ho chuka hai unke shohar aur bacche ba hayat hai Asal masla :Hamara ek ghar hai jo kisi wajah se mere walid ne meri walida ka name kar rakha tha jisme mere waliden,mere chhote bhai ki family aur meri family sath me raha karte the. meri walida ke inteqal k baad bahno k israr par ye ghar mere chhote bhai k name kardiya gaya jisme mere walid ki dakhal andazi nahi thi q k mere walid ko paralise ki bimari thi lekin walid ko pata tha k ghar mere chhote bhai k name ho chuka hai.jisme unko koi pareshani nahi thi.Ye ghar chhote bhai k name hone k baad bhi mai aur mere chhote bhai ki family sath mei hi rehti thi. Ek aur ghar mere waliden ne le rakha tha,ye ghar mere waliden ki hayati mei mere name ho chuka tha lekin is ghar mei meri bahen raha karti thi q k bahen ne kisi wajah se apna khud ka ghar bech diya tha is wajah se mai ne bahen ko is ghar mei rahne ki ijazat di thi.lekin is ghar par mera taaba nahi tha matlab mai kabhi bhi is ghar mei rahne k liye nahi gaya tha,mere waliden k inteqal k baad bhi mai kabhi bhi is ghar par apni family k sath rehne nahi gaya tha. abhi bhi meri bahen apni family k sath is ghar mei rehti hai. Ab masla ye hai k mere waliden ka inteqal ho chuka hai aur Ab meri saare bahne hum dono bhaiyo se in dono ghar ka haq maang rahi hai,to ab masla bataye k kya bahno ka haq in dono ghar mei banta hai aur agar banta hai to kisko kitna hissa milega. JAZAK ALLAH

فتاویٰ #56


Copyright @ 2017. Al Jamiatul Ashrafia

All rights reserved